koi mausam bhi hasb-e-haal nahin phir bhi dil mein koi malal nahin ho gae zakhm is qadar manus koi tadbir-e-indimal nahin shikwa-e-dil mein raat bit gai hijr se kam tera visal nahin ab zara der ko thahar jao ab sitaron ki waisi chaal nahin lakh tamsilen istiare hon phir bhi teri koi misal nahin zabt hai didani sukhan mera mere chehre pe ishtial nahin