koi muflis ho ki dhanwan chala jata hai

By anwar-kamal-anwarJuly 10, 2021
koi muflis ho ki dhanwan chala jata hai
maut jab aati hai insan chala jata hai
nakhuda dekhte rahte hain khade sahil par
kashtiyan lut le tufan chala jata hai


us musafir ke liye kuchh nahin manzil ki khushi
jis ka raste mein hi saman chala jata hai
kaisa tajir hai munafa nahin hota tujh ko
tujh ko har saude mein nuqsan chala jata hai


yaad aate hain kai chand se raushan chehre
jab bhi mazi ki taraf dhyan chala jata hai
wo tamashe sar-e-bazar nazar aate hain
dekhne walon ka iman chala jata hai


kar ke ehsan jataya na karen aap 'kamal'
is tarah dekhiye ehsan chala jata hai
79710 viewsghazalEnglish