koi na dekha ki wapas aaya khuda ke ghar ek bar ja kar wo dair-o-kaba mein hai muqayyad khuda khuda kar khuda khuda kar samajh na tu us ko be-nawai ye do-jahan ki hai baadshai ki daulat-e-ishq hath aai mata-e-duniya-o-din luta kar jahan ki kaenat kya hai umid-e-uqba mein kya dhara hai bari hain jo us se wo na dekhen idhar zara aankh bhi utha kar karam tera tama par hai mabni hai teri khairaat is nafas par ki sud mein ashrafi milegi jo dega ek dam hath utha kar ye dil-lagi kya hai baad-o-baran hansi hai ye ya sitam-zarifi gulon ko mitti mein kyun milaya khila khila kar hansa hansa kar na rah sake pesh-e-mehr-e-taban gul aur shabnam mein rabt-e-rasmi main kat gaya kal jahan se 'kaifi' dil ek dildar se laga kar