koi nahin aata samjhane
By saifuddin-saifNovember 15, 2020
koi nahin aata samjhane
ab aaram se hain diwane
tai na hue dil ke virane
thak kar baith gae diwane
majburi sab ko hoti hai
milna ho to lakh bahane
ban na saki ahbab se apni
wo dana the hum diwane
nai nai ummiden aa kar
chhed rahi hain zakhm purane
jalwa-e-jaanan ki tafsiren
ek haqiqat lakh fasane
duniya bhar ka dard saha hai
hum ne tere gham ke bahane
phir wahshat aai suljhane
hosh o khirad ke tane-bane
phir apne aanchal se hawa di
shoala-e-gul ko baad-e-saba ne
phir wo dal gae daman mein
dard ki daulat gham ke khazane
aaj phir aankhon mein phirte hain
ahd-e-tamanna ke virane
phir tanhai puchh rahi hai
kaun aae dil ko bahlane
'saif' wo gham bhi tishna-e-khun hai
hum zinda hain jis ke bahane
ab aaram se hain diwane
tai na hue dil ke virane
thak kar baith gae diwane
majburi sab ko hoti hai
milna ho to lakh bahane
ban na saki ahbab se apni
wo dana the hum diwane
nai nai ummiden aa kar
chhed rahi hain zakhm purane
jalwa-e-jaanan ki tafsiren
ek haqiqat lakh fasane
duniya bhar ka dard saha hai
hum ne tere gham ke bahane
phir wahshat aai suljhane
hosh o khirad ke tane-bane
phir apne aanchal se hawa di
shoala-e-gul ko baad-e-saba ne
phir wo dal gae daman mein
dard ki daulat gham ke khazane
aaj phir aankhon mein phirte hain
ahd-e-tamanna ke virane
phir tanhai puchh rahi hai
kaun aae dil ko bahlane
'saif' wo gham bhi tishna-e-khun hai
hum zinda hain jis ke bahane
38614 viewsghazal • English