koi nahin hai aane wala phir bhi koi aane ko hai aate jate raat aur din mein kuchh to ji bahlane ko hai chalo yahan se apni apni shakhon pe laut aae parinde bhuli-bisri yaadon ko phir tanhai dohrane ko hai do darwaze ek haweli aamad rukhsat ek paheli koi ja kar aane ko hai koi aa kar jaane ko hai din bhar ka hangama sara sham dhale phir bistar pyara mera rasta ho ya tera har rasta ghar jaane ko hai aabaadi ka shor-sharaba chhod ke dhundo koi kharaba tanhai phir shama jala kar koi harf sunane ko hai