koi nazara na KHud se alahada kije

By hayat-madrasiApril 24, 2021
koi nazara na khud se alahada kije
nazar-nazar mein hain jalwe muaina kije
nazar ko pahle jila de ke aaina kije
phir us ke baad khudi ka mushahida kije


khudi khuda se juda ho to be-khudi achchhi
wajud wahm hai is ko alahada kije
nazar se duri bhi wajh-e-huzuri-e-dil hai
huzur tajraba achchha hai tajraba kije


unhi ka dar hi to hai bazm-e-mumkinat tamam
jabin-e-shauq ko phir waqf-e-bargah kije
siyah bakht ko chamkana hai agar manzur
phir apne nama-e-amal ko siyah kije


tamam chashm-e-karam aam hai zamane par
idhar bhi chashm-e-karam apni gah-gah kije
jo be-talab ho khushi us ka kijiye matam
kabhi to lazzat-e-gham ko bhi ba-maza kije


'hayat' taba-e-rawani mein koi farq nahin
chaman tumhaara hai ji bhar ke zamzama kije
24833 viewsghazalEnglish