koi nigah-e-pareshan meri talash mein hai

By bhagwan-khilnani-saqiFebruary 26, 2024
koi nigah-e-pareshan meri talash mein hai
gham-e-hayat ka saman meri talash mein hai
main apne aap pe shaida hua hun jis din se
tabhi se husn-e-nigaran meri talash mein hai


mujhe to wasta koi nahin hai duniya se
na jaane phir bhi kyon insan meri talash mein hai
jo apne aap ko ab tak talash kar na saka
suna hai main ne wo nadan meri talash mein hai


kisi hasin ne sunai hai jab se meri ghazal
tabhi se mahfil-e-yaran meri talash mein hai
mariz-e-ishq hun aur husn hai dawa meri
mere hi dard ka darman meri talash mein hai


55041 viewsghazalEnglish