koi saghar dil ko bahlata nahin

By shakeel-badayuniMay 9, 2022
koi saghar dil ko bahlata nahin
be-khudi mein bhi qarar aata nahin
main koi patthar nahin insan hun
kaise kah dun gham se ghabraata nahin


kal to sab the karwan ke sath sath
aaj koi rah dikhlata nahin
zindagi ke aaine ko tod do
is mein ab kuchh bhi nazar aata nahin


46608 viewsghazalEnglish