koi shai nahin yahan mustaqil ye ajab yahan ka nizam hai kabhi dhup hai kabhi chhanw hai kabhi subh hai kabhi sham hai wo jafa karen to jafa karen main wafa se baz na aaunga unhen apne kaam se kaam hai mujhe apne kaam se kaam hai jo hamari nazren na pa saken to hamari nazron ki hai khata tera jalwa pahle bhi aam tha tera jalwa aaj bhi aam hai ye mita chuki meri zindagi to karam se apne sanwar de wo meri nigah ka kaam tha ye teri nigah ka kaam hai wo haram ho ya ki ho but-kada ki wo sang-e-dar ho habib ka jahan teri yaad na aa sake wahan sajda karna haram hai ye khabar hai zist ka karwan rah-e-ishq mein hai rawan-dawan magar us ki koi khabar nahin ki safar kahan pe tamam hai use zindagi ka laqab diya ki jo ek khwab-e-fareb hai use maut kahta hai be-khabar ki jo zindagi ka payam hai nahin kaamyab amal agar tu adam mein ho ki wajud mein na yahi sukun ka maqam hai na wahi sukun ka maqam hai