koi titli nahin batati hai

By fahmi-badayuniFebruary 5, 2024
koi titli nahin batati hai
teri khushbu kahan se aati hai
kya hua dhup agar satati hai
chandni bhi yahi banati hai


ek bimar aarzu dil mein
roz ban-than ke baith jati hai
ye mohabbat ka mai-kada hai yahan
pyas hi pyas ko bujhati hai


ab nahin chaunkta hun main ghar mein
sare parde hawa hilati hai
mere kamre mein ab bajae mere
teri taswir muskuraati hai


shikwa-e-hijr par wo ye bole
'id rozon ke ba'd aati hai
zabt se pet jab nahin bharta
to gharibi usul khati hai


us makan ka charagh hun 'fahmi'
jis ki jhadu hawa lagati hai
55983 viewsghazalEnglish