koi to shakl mohabbat mein sazgar aae hansi nahin hai to rone se hi qarar aae hai ek neamat-e-uzma gham-e-mohabbat bhi magar ye shart ki insan ko sazgar aae junun-e-dasht-pasandi batae deta hai guzarni thi jo ghar mein wo hum guzar aae guzarni hai mujhe umr tere qadmon mein mujhe na kyun tere wadon pe e'tibar aae tumhaari bazm se aa kar wahi khayal raha hum ek bar gae tum hazar bar aae nigah-e-dost koi aur baat hai warna tu be-qarar kare aur mujhe qarar aae hai mutmain bhi to kis kis umid-o-bim ke sath wo na-murad jise lutf-e-intizar aae bata gai hai jo mujh ko wo be-qarar nigah na kah sakunga agar aaj bhi qarar aae ye imtiyaz hai 'ghaalib' ke baad 'ali' ka ki jis pe aap mare hain use bhi mar aae