koi ummid bar nahin aati koi chhutti nazar nahin aati halwa milna hai par nahin milta chae aani hai par nahin aati jo padosi ke ghar mein aai hai wo mithai idhar nahin aati dudh ghi gar nazar nahin aata bu bhi us ki magar nahin aati imtihan kya qarib hai yaro nind kyon raat bhar nahin aati teacheron se najat pane ki koi surat nazar nahin aati hum ko murgha bana ke kursi par sharm ai master nahin aati roz padhna bhi ek musibat hai chhuttiyon ki khabar nahin aati sare teacher hon khush sada hum se is ki surat nazar nahin aati bas riyazi ko dekh kar chup hun warna kya baat kar nahin aati khub sote maze se hum lekin koi shab be-sahar nahin aati