koi us se nahin kahta ki ye kya bewafai hai chura kar dil mera ab aankh bhi apni churai hai utho ai mai-kasho aabaad mai-khana karen chal kar zara dekho to kya kali ghata ghanghor chhai hai buton ke ishq se hum baz aae hain na aaenge nahin parwa hamein dushman agar sari khudai hai nashat-e-dil ko dushman ke banaenge usi se hum wo kahte hain teri aah-e-rasa tera hawai hai bigad kar ghair se tum aae ho hum ye samajhte hain hamare samne be-wajh kyun surat banai hai har ek mushkil se mushkil kaam banta hai banane se magar bigdi hui qismat kisi ne kab banai hai khabar sun kar mere marne ki wo kahne lage hans kar kisi dushman ne shayad ye khabar jhuti udai hai gulon ko naghma-e-bulbul sunai tak nahin deta tere diwanon ne wo dhum gulshan mein machai hai dil-e-ashiq mein ho ai 'mashriqi' gar jazb-e-dil kaamil wo but phir kyun na mail ho koi ghar ki khudai hai