kucha-e-yar mein ab jaane guzar ho ki na ho wahi wahshat wahi sauda wahi sar ho ki na ho jaane ek rang sa ab rukh pe tere aae na aae nafas-e-shauq se gul shola-e-tar ho ki na ho ab musalsal bhi jo dhadke dil-e-nashad mera kis ko malum tere dil ko khabar ho ki na ho qahr mein lutf mein mad-hoshi o hushyari mein wo mere waste takhsis-e-nazar ho ki na ho hijr ki raat thi imkan-e-sahar se raushan jaane ab us mein wo imkan-e-sahar ho ki na ho