kucha mein jo us shokh-hasin ke na rahenge to dair-o-haram kya hai kahin ke na rahenge nazdik kabhi khuld-e-barin ke na rahenge ham-saya bhi ab hum to hasin ke na rahenge main said hun wahshi mujhe fitraki kahalwa do tar bhi ab daman-e-zehn ke na rahenge par wae wasila ho sulaiman ko mubarak hum nam ko muhtaj nagin ke na rahenge mar jaenge izhaar-e-tamanna hi se pahle sunne ko tere munh se nahin ke na rahenge mirza munshi apni gora na karenge sunne ko qisas-e-chin-e-jabin ke na rahenge sun lenge jo mujh gham-zada ke nala-e-mauzun mushtaq wo diwan-e-hazin ke na rahenge darwaza ka parda to rahe kan ka parda hum ru-ba-ru us parda-nashin ke na rahenge allah ne chaha to hum ai barhamn-e-dair mushtaq kisi lobat-e-chin ke na rahenge rukhsar se tashbih teri denge hum ai jaan jab dagh rukh-e-mah-e-mubin ke na rahenge odhte hue ye tair-e-rang apna jo dekha to hosh baja ruh-e-amin ke na rahenge kis dard ki aawaz se chillai hai bulbul hum pas to us murgh-e-hazin ke na rahenge dekhenge jo us but ko to wallah yaqin hai iman baja ahl-e-yaqin ke na rahenge paband rahe kaun yahan nam ki khatir halqa mein kabhi misl nagin ke na rahenge hum dhundte phirte hain tujhe dair-o-haram mein gar hai ye tamanna to kahin ke na rahenge paband hue shakl-e-asir ab to yahan 'mehr' aisa hi jo dil hai to kahin ke na rahenge