kuchh aisa hua be-sar-o-saman meri jaan

By bismil-arifiOctober 28, 2020
kuchh aisa hua be-sar-o-saman meri jaan
duniya mujhe kahne lagi nadan meri jaan
shoalon ko mayassar kahan shabnam ki rifaqat
khud ko na karo aise bhi halkan meri jaan


tanhai mein ab un ka bhi dam ghutne laga hai
hijrat ko samajhte the jo aasan meri jaan
ab teri inayat ho ki duniya ki nawazish
dil ho to gaya waise ye viran meri jaan


nadan hai tu aur ye siyahkar zamana
is daur ke insan ko pahchan meri jaan
dil chahta ye hai ki tujhe dur se dekhun
lekin jo taqaze ka hai tufan meri jaan


dekha tha faqiron ki qaba mein use kal tak
sab log jise kahte hain sultan meri jaan
26850 viewsghazalEnglish