kuchh aisa to abhi socha nahin hai ki jo mera hai wo us ka nahin hai murawwat se zara dhundli hain aankhen ye mat samjho nazar aata nahin hai abhi kal hi to kuchh wade kiye the tumhaara hafiza achchha nahin hai yahi to jad hai sari nafraton ki mohabbat ko koi samjha nahin hai tum aurat ho zara mohtat rahna zamana is qadar badla nahin hai chalo shishe ko to nazuk bhi kah den koi patthar hai jo tuta nahin hai hamare munh pe hum se jhut bole hamara aaina aisa nahin hai