kuchh aisi tut ke shahr-e-junun ki yaad aai duhai dene lagi aaj meri tanhai gale mili hain kai aa ke dilruba yaaden kahin ye ho na teri shakl-e-yaad-farmai kuchh is qadar the saham-nak hadsat-e-hayat ki tab-e-did na rakhti thi meri binai siyah kiye hain waraq main ne is tawaqqoa par kabhi to hogi mere dard ki pazirai badan se rog ne kar li muwafiqat shayad wahi hai zakhm mera aur wahi hai gahrai ilaj dhundhta phirta hun dukh ke nagri mein meri rasai se bahar hui masihai us ek nazar ne mujhe dher kar diya 'shahid' kisi bhi kaam na aai meri tawanai