kuchh apne kaam nahin aawe jam-e-jam ki kitab kifayat apne ko bas ek apne gham ki kitab nahin khayal siwa us ke aur hai dil mein jo maktab ishq mein jaise padha sanam ki kitab khat aane se nahin khatir jama hue mutlaq ise to khat kahun ya sabza ya sitam ki kitab shab-e-firaq se teri gaya hun sab kuchh bhul wiqaya kanz-o-hidaya sabhi ilam ki kitab hua ba-madrasa-e-ishq jab se talib-e-ilm bahut hai apne mutala ko ek dam ki kitab na barhaman hun na mulla na maulwi na atit jo pothi dair ki pancho o ya haram ki kitab kitab-e-husn ki 'qasim-ali' mutala kar banai sanea ne sanat se yak-qalam ki kitab