kuchh apni jo hurmat tujhe manzur ho ai shaikh tu bahs na mai-khwaron se chal dur ho ai shaikh masjid mein zara waqt-e-sahar dekh to ja kar shayad koi us chashm ka makhmur ho ai shaikh sad dana-e-tasbih rakhe hath mein apne chaunke to jo yak-dana-e-angur ho ai shaikh tu mujh ko kahe ek main sau tujh ko sunaun ai kash ki itna mujhe maqdur ho ai shaikh aaya hai wo badmast liye hath mein shamshir majlis se shitabi kahin kafur ho ai shaikh karta hai hamein mana tu paimana-kashi se paimana teri umr ka mamur ho ai shaikh albatta kare mana hamein ishq-e-butan se tujh sa jo koi aql se mazur ho ai shaikh phir dum hai wo shimla jo hua had se ziyaada rakh shimla tu shimle ka jo dastur ho ai shaikh har harf mein sakhti hai tere sang-e-jafa se darta hun na phir shisha-e-dil chur ho ai shaikh kya hur ki baaton se lubhawe hai tu mujh ko hasha ki mujhe aarzu-e-hur ho ai shaikh shekhi mein to sunta hi nahin baat kisi ki is dadhi par itna bhi na maghrur ho ai shaikh kyun 'mushafi' ko itni tu karta hai nasihat sar chadh na bahut us ke jo majbur ho ai shaikh