kuchh aur to nahin hamein is ka ojab hai ab yani wo shokh hum se khafa be-sabab hai ab aah-o-fughan-o-girya-o-andoh o dard o dagh jo jins-e-ishq hai wo mere pas sab hai ab dekhe se jis ke ghuncha-sifat gul ho rashk hai aisa to is janam mein wahi ghuncha-lab hai ab subh-e-falak bhi jis ki tajalli se ho khajil us rashk-e-mahtab se apni wo shab hai ab aaina ek dam nahin rakhta hai hath se aisa wo apne rukh ka tamasha-talab hai ab us gul-badan ke wasl se har dam 'nazir' ko sab se ziyaada khalq mein aish-o-tarab hai ab