kuchh aur zamana kahta hai kuchh aur hai zid mere dil ki main baat zamane ki manun ya baat sunun apne dil ki duniya ne hamein be-rahmi se thukra jo diya achchha hi kiya nadan hum samjhe baithe the nibhti hai yahan dil se dil ki insaf mohabbat sachchai wo rahm-o-karam ke dikhlawe kuchh kahte zaban sharmati hai puchho na jalan mere dil ki jo basti hai insanon ki insan magar dhundhe na mila patthar ke buton se kya kije fariyaad bhala tute dil ki