kuchh bhi manzil se nahin lae hum

By shariq-kaifiFebruary 29, 2024
kuchh bhi manzil se nahin lae hum
apne hisse ka bhatak aae hum
jab ta'alluq pe chali baat kabhi
be-ta'alluq se nazar aae hum


khush-numa yaaden hi kitni si thin
un ko bhi yaad na rakh pae hum
yahi hona tha hamara anjam
apne hi panw tale aae hum


wahi to ho gae dushman ek din
jin ki baaton mein nahin aae hum
63460 viewsghazalEnglish