kuchh dafn hai aur sans liye jata hai ek sanp hai jo qalb mein lahraata hai ek gunj hai jo khun mein chakraati hai ek raaz hai pur-pech hua jata hai ek shor hai jo kuchh nahin sunne deta ek ghar tha jo bazar hua jata hai ek narm kali hai jo khili padti hai ek dasht-e-bala hai ki jala jata hai ek khauf hai jo kuchh nahin karne deta ek khwab hai jo nind mein tadpata hai do panw hain jo haar ke ruk jate hain ek sar hai jo diwar se takraata hai