kuchh dinon apne ghar raha hun main

By anwar-shuoorOctober 25, 2020
kuchh dinon apne ghar raha hun main
aur phir dar-ba-dar raha hun main
dusron ki khabar to kya leta
khud se bhi be-khabar raha hun main


waqt go ham-safar na tha mera
waqt ka ham-safar raha hun main
zina-e-zat ka safar aur raat
dhire dhire utar raha hun main


yak-ba-yak kis tarah badal jaun
rafta rafta sudhar raha hun main
tu bhi dekhe to ajnabi jaane
ab ke wo swang bhar raha hun main


be-haqiqat hai shor-e-shahr ki ab
gungunata guzar raha hun main
aag hai aur sulag rahi hai hayat
rakh hun aur bikhar raha hun main


98069 viewsghazalEnglish