kuchh ek roz mein main chahaten badalta hun
By aks-samastipuriOctober 24, 2020
kuchh ek roz mein main chahaten badalta hun
agar na seat mile to basen badalta hun
har ek roz wo pahchan kaise leti hai
har ek roz to main aahaten badalta hun
hamesha tum ko shikayat rahi jamaun na haq
to sun lo aaj main apni haden badalta hun
karahti hain ye bistar ki silwaten meri
tamam raat main yun karwaten badalta hun
khuda ka shukr hai aadat nahin bane ho tum
kuchh ek roz mein main aadaten badalta hun

51762 viewsghazal • English