kuchh ishq tha kuchh majburi thi so main ne jiwan war diya main kaisa zinda aadmi tha ek shakhs ne mujh ko mar diya ek sabz shakh gulab ki tha ek duniya apne khwab ki tha wo ek bahaar jo aai nahin us ke liye sab kuchh haar diya ye saja-sajaya ghar sathi meri zat nahin mera haal nahin ai kash kabhi tum jaan sako jo is sukh ne aazar diya main khuli hui ek sachchai mujhe jaanne wale jaante hain main ne kin logon se nafrat ki aur kin logon ko pyar diya wo ishq bahut mushkil tha magar aasan na tha yun jina bhi us ishq ne zinda rahne ka mujhe zarf diya pindar diya main rota hun aur aasman se tare tutte dekhta hun un logon par jin logon ne mere logon ko aazar diya mere bachchon ko allah rakhe in taza hawa ke jhonkon ne main khushk ped khizan ka tha mujhe kaisa barg-o-bar diya