kuchh kar-e-anasir tah-e-dariya bhi ajab hai

kuchh kar-e-anasir tah-e-dariya bhi ajab hai
is khak mein pinhan koi shoala bhi ajab hai

duniya se kuchh aisa bhi nahin rabt hamara
sunte hain magar lazzat-e-duniya bhi ajab hai

hai dil hi kisi aarzu-e-wasl ka maskan
dil ka magar is rah pe aana bhi ajab hai

wo did hai ab aalam-e-maujud se aage
is saat-e-masud ka dhoka bhi ajab hai

tai hoti chali jati hai be-faiz masafat
is rah mein diwar ka aana bhi ajab hai

khilta nazar aata hi nahin hai gul-e-umid
jata hi nahin dil se ye dhadka bhi ajab hai

is zist pe sahra ka guman tak nahin hota
ai nakhl-e-mohabbat tera saya bhi ajab hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close