kuchh karo fikr mujh diwane ki dhum hai phir bahaar aane ki dil ka us kunj-e-lab se de hai nishan baat lagti to hai thikane ki wo jo phirta hai mujh se dur hi dur hai ye taqrib ji ke jaane ki tez yun hi na thi shab aatish-e-shauq thi khabar garm us ke aane ki khizr us khatt-e-sabz par to mua dhun hai ab apne zahr khane ki dil-e-sad-chaak bab-e-zulf hai lek baw si bandh rahi hai shane ki kisu kam-zarf ne lagai aah tujh se mai-khane ke jalane ki warna ai shaikh-e-shahr wajib thi jam-dari sharab-khane ki jo hai so paemal-e-gham hai 'mir' chaal be-dol hai zamane ki