kuchh khwab kuchh khayal mein mastur ho gae tum kya qarib nikle ki sab dur ho gae aankhon ke dar the band to jina muhaal tha aankhen khulin to aur bhi mazur ho gae aise chhape ki surma-e-chashm-e-jahan hue aise khule ki barq-e-sar-e-tur ho gae jadugari ke raaz se na-ashna na the hum to tere khayal se majbur ho gae mitti pe aa gai thi zara der ko bahaar bas log itni baat pe maghrur ho gae patthar to puje jate hain is rah mein 'jamil' tum to zara si thes lagi chur ho gae