kuchh mujhe ab zindagi apni nazar aati nahin dosto muddat hui us ki khabar aati nahin ru-ba-ru hote hi us ke aql ho jati hai gum kuchh ka kuchh bikne lagun hun baat kar aati nahin us but-e-gumrah ko har-chand samjhata hun main kya karun us ki tabiat rah par aati nahin dil phansa hai us ke bas mein dekhiye kya ho 'nisar' nagani jis zulf ke ohde se bar aati nahin