kuchh na kuchh aaya to hoga uske ji mein

By yashvardhan-mishraJanuary 5, 2024
kuchh na kuchh aaya to hoga us ke ji mein
phir chhupaya hoga mujh ko diary mein
baam par main baith kar ye sochta hun
shab nahai hogi us ki raushni mein


baat sari chand se karta hun us ki
hosh rahta hi nahin baada-kashi mein
mujh ko ab tanhai khalti ja rahi hai
ho raha hai ye teri maujudgi mein


ho gaya pagal teri khatir wo ladka
kuchh kami rakkhi nahin diwangi mein
62149 viewsghazalEnglish