kuchh na kuchh is sar-zamin par nagahan hona hi tha
By aftab-ranjhaMay 22, 2024
kuchh na kuchh is sar-zamin par nagahan hona hi tha
un ko mujh se bhi khafa ai mehrban hona hi tha
chhod jaegi hamari zindagi ma'lum tha
fasla us ke hamare darmiyan hona hi tha
laenge ab dekhiye ilzam kya hum par naya
imtihan ke ba'd bhi to imtihan hona hi tha
kuchh samundar the hamare chashm-e-tar mein chhup gae
kuchh to aansu the jinhen aab-e-rawan hona hi tha
tishnagi ai tishnagi is dhup mein hum kya karen
qatra qatra khun-e-dil se nim-jaan hona hi tha
jo sitare the hamari gardish-e-ayyam ke
un ko to aakhir hamari kahkashan hona hi tha
shumi-e-qismat ki sare shahr mein badnam hain
jo bhi kuchh achchha kiya wo raegan hona hi tha
sun ke wo qisse hamare chup ke chup hi rah gae
phir bhi 'ariz the ki un ko gulsitan hona hi tha
ai dil-e-nadan tujhe bhi fikr hai kis baat ki
tujh ko bhi ek din kisi ki dastan hona hi tha
hum ne khae hain hazaron zakhm apni jaan par
'barham' un ko phir bhi hum se bad-guman hona hi tha

16711 viewsghazal • English