kuchh nahin hai pas mere is zamane ke liye

By manish-mohakJanuary 3, 2024
kuchh nahin hai pas mere is zamane ke liye
aaj main nikla hun khud paisa kamane ke liye
ganw chhoda aur sab ko alwida' kahna pada
yar bas do waqt ki roti jutane ke liye


manta hun aaj bhi an-padh hain kuchh maen magar
kya nahin karti hain bachchon ko padhane ke liye
jab bura lagta hai tujh ko nam bhi sun ke mera
to karun kyon baat tera dil dukhane ke liye


sath mere tum na roo bas yahi main soch kar
karta hun koshish bahut aansu chhupane ke liye
yar 'mohak' tu jo aisa hi raha to ek din
jaan bhi de sakta hai yari nibhane ke liye


19076 viewsghazalEnglish