kuchh nahin hai to ye andesha ye dar kaisa hai ek andhera sa ba-hangam-e-sahar kaisa hai kyun har ek rah mein wahshat si barasti hai yahan ek ek mod pe ye khauf-o-khatar kaisa hai phir ye sochon mein hain mayusi ki lahren kaisi phir ye har dil mein udasi ka guzar kaisa hai us se hum chhanw ki ummid bhala kya rakkhen dhup deta hai hamesha ye shajar kaisa hai raushni hai na hawaon ka guzar hai is mein mere hisse mein jo aaya hai ye ghar kaisa hai ek muddat hui aankhon se bahe the aansu daman-e-shauq magar aaj bhi tar kaisa hai umr bhar chal ke bhi pai nahin manzil hum ne kuchh samajh mein nahin aata ye safar kaisa hai hum ne dekhe the kai khwab suhane lekin tajraba ab hua khwabon ka nagar kaisa hai kaise ug aaya hai aabaadi mein virana 'khumar' shahr ke bich ye sunsan khandar kaisa hai