kuchh nazakat na ho shokhi na ho andaz na ho husn wo husn kya jis husn mein kuchh naz na ho zulm ke sath hai ye shart bhi us zalim ki aah nikle bhi agar koi to aawaz na ho baat jo hoti hai honton ko bata deta hai dil ke jaisa bhi kisi ka koi hamraaz na ho mere sayyaad ne ye soch ke par kat diye ab qafas mein bhi kahin hasrat-e-parwaz na ho husn to ishq ki shiddat se nikharta hai 'bilal' taj be-kar hai jab tak koi mumtaz na ho