kuchh ranj to ghubar-e-safar se nikal gaya

By salim-saleemFebruary 28, 2024
kuchh ranj to ghubar-e-safar se nikal gaya
achchha hua ki aaj main ghar se nikal gaya
main ne lakiren khinch rakhi thin chahaar samt
jaane wo shahsawar kidhar se nikal gaya


jis lamhe main ne zindagi pai thi ek bar
wo lamha mere sham-o-sahar se nikal gaya
hairat-sara-e-‘ishq mein dakhil hua tha main
phir yun hua ki apni khabar se nikal gaya


us ki jagah bhari hain ab aankhon mein hasraten
ek khwab tha jo dida-e-tar se nikal gaya
41100 viewsghazalEnglish