kuchh saghar chhalkane tak mahdud raha
By shariq-kaifiFebruary 29, 2024
kuchh saghar chhalkane tak mahdud raha
ghar ka gham maikhane tak mahdud raha
bich bich mein mera hosh mein aana bhi
manzar ko dhundlane tak mahdud raha
aaj ka qissa shahzade ki baaton mein
pariyon ke aa jaane tak mahdud raha
shahr ki sarhad chand qadam par thi lekin
diwana virane tak mahdud raha
saf thi us ki har aahat har sans magar
main khud ko chaunkane tak mahdud raha
ruk ruk kar aati sanson ka dhoka bhi
sirf use jhutlane tak mahdud raha
ghar ka gham maikhane tak mahdud raha
bich bich mein mera hosh mein aana bhi
manzar ko dhundlane tak mahdud raha
aaj ka qissa shahzade ki baaton mein
pariyon ke aa jaane tak mahdud raha
shahr ki sarhad chand qadam par thi lekin
diwana virane tak mahdud raha
saf thi us ki har aahat har sans magar
main khud ko chaunkane tak mahdud raha
ruk ruk kar aati sanson ka dhoka bhi
sirf use jhutlane tak mahdud raha
91914 viewsghazal • English