kuchh samajh aaya na aaya maine socha hai use

kuchh samajh aaya na aaya main ne socha hai use
zehn par us ko utara dil pe likkha hai use

in dinon is shahr mein ek fasl-e-khun ka raqs hai
hum bahut be-bas hue hain, main ne likkha hai use

dhup ne hans kar kaha dekha tujhe pighla diya
barf kya kahti nafasat ne duboya hai use

bagh mein hona hi shayad seb ki pahchan thi
ab ki wo bazar mein hai ab to bikna hai use

kal bhare baadal mein kya rangon ka darwaza khula
mujh ko kal tak tha ye dawa main ne samjha hai use

ek shai jis ko umuman sirf dil kahte hain log
mar gaya hota magar main ne bachaya hai use

karb dil ka mere lab par aaega 'manzur' kya
main ne khun-e-dil se kaghaz par utara hai use


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close