kuchh taur nahin bachne ka zinhaar hamara

By abdul-rahman-ehsan-dehlviApril 24, 2024
kuchh taur nahin bachne ka zinhaar hamara
ji le hi ke jawega ye aazar hamara
kuche se tere kuch hai ai yar hamara
ji le hi chali hasrat-e-didar hamara


tu hum ko utha lijiyo us waqt ilahi
jis waqt uthe pahlu se dildar hamara
yara hai kahan itna ki is yar ko yaro
main ye kahun ai yar hai tu yar hamara


hum padshah-e-mumlikat-e-ishq hain nahaq
mansur sa mara gaya sardar hamara
kah dijiyo makhuli ko ai gardish-e-talea
han jaldi se la takht-e-hawa-dar hamara


abru ki teri bait ki kya baat wa-lekin
hai aah ka misra bhi dhuan-dar hamara
'ehsan' tu ghazal farsi hi apni kaha kar
dil rekhta tere se hai bezar hamara


58087 viewsghazalEnglish