kuchh to batao shair-e-bedar kya hua

By January 1, 2017
kuchh to batao shair-e-bedar kya hua
kuchh to batao shair-e-bedar kya hua
kis ki talash hai tumhein aur kaun kho gaya
aankhon mein raushni bhi hai viraniyan bhi hain
ek chand sath sath hai ek chand gah gaya


tum ham-safar hue to hui zindagi aziz
mujh mein to zindagi ka koi hausla na tha
tum hi kaho ki ho bhi sakega mera ilaj
agli mohabbaton ke mere zakhm-ashna


jhanka hai main ne khalwat-e-jaan mein nigar-e-jaan
koi nahin hai koi nahin hai tere siwa
wo aur tha koi jise dekha hai bazm mein
gar mujh ko dhundna hai meri khalwaton mein aa


ai mere khwab aa meri aankhon ko rang de
ai meri raushni tu mujhe rasta dikha
ab aa bhi ja ki subh se pahle hi bujh na jaun
ai mere aaftab bahut tez hai hawa


ya-rab ata ho zakhm koi sher-afrin
ek umr ho gai ki mera dil nahin dukha
wo daur aa gaya hai ki ab sahiban-e-dard
jo khwab dekhte hain wahi khwab na-rasa


daman bane to rang hua dastaras se dur
mauj-e-hawa hue to hai khushbu gurez-pa
likkhen bhi kya ki ab koi ahwal-e-dil nahin
chikhen bhi kya ki ab koi sunta nahin sada


aankhon mein kuchh nahin hai ba-juz khak-e-rahguzar
sine mein kuchh nahin hai ba-juz nala-o-nawa
pahchan lo hamein ki tumhaari sada hain hum
sun lo ki phir na aaenge hum se ghazal-sara


11427 viewsghazalEnglish