kuchh to mere qabile ko khuddari kha gai jo kuchh bacha tha khwahish-e-sardari kha gai mazhab ke ishtihaar pe maslak ka karobar sari ibaadaton ko riya-kari kha gai nam-o-nasab ne ghar se nikalne nahin diya mera wajud meri zamin-dari kha gai hum sadgi mein kitne numayan the dosto apni haqiqaton ko ada-kari kha gai beti ko main jahez bhi deta to kis tarah sari kamai bap ki bimari kha gai aasaniyan aziz thin 'maikash' hamein magar aasaniyon ki fasl ko dushwari kha gai