kuchh tum bahak gae the to kuchh main bahak gaya
By maikash-azmiSeptember 23, 2023
kuchh tum bahak gae the to kuchh main bahak gaya
phir zindagi ki gadi ka pahiya sarak gaya
pathraw tab hua hai ta'alluq ki fasl par
jab zindagi ke khet ka har gehun pak gaya
chheda hai jab kisi ne mohabbat ke git ko
dil mein tumhaari yaad ka ghuncha chatak gaya
utra wo naujawan jo daulat ki car se
sine se ladkiyon ke dupatta sarak gaya
qismat-nawaz log to raste ke ho gae
himmat jawan thi jis ki wahi chand tak gaya
budha hua jo bap to beti jawan hui
kuchh aur bojh badh gae to jism thak gaya

97950 viewsghazal • English