kuchh yun bhi mera ghar se nikalna nahin hota

By shariq-kaifiFebruary 29, 2024
kuchh yun bhi mera ghar se nikalna nahin hota
jaane se mere koi akela nahin hota
insan ki itni to samajh ho hi gai hai
dobara kisi se mera jhagda nahin hota


ek raat ki taklif ne samjha diya mujh ko
khidmat se bada koi dikhawa nahin hota
khush hai wo tawajjoh se use ye nahin ma'lum
sunte hain wahi hum jo samajhna nahin hota


jo puchh rahe hain main unhen kaise bataun
tayyar ka matlab kahin jaana nahin hota
51376 viewsghazalEnglish