kuchla kiye hain kitne hi lashkar zamin ko aise kiya gaya hai barabar zamin ko main ne bhi sair ki hai kabhi aasman ki main jaanta hun dasht samundar zamin ko pairon se dhire dhire khisakne lagi hai ab kab tak rakhun main yar pakad kar zamin ko jab bhi thakan se chur hua so gaya hun main chadar falak ko man ke bistar zamin ko mujh ko libas-e-ruh alag se 'ata hua dafna diya gaya mere andar zamin ko patal mein pada hun magar pur-sukun hun main jhankta raha hun uchhal kar zamin ko daldal ko par karna hai 'arif' aur us ke ba'd rakh denge tere samne la kar zamin ko