kudurat badh ke aakhir ko nikalti hai fughan ho kar zamin ye sar par aa jati hai ek din aasman ho kar mere naqsh-e-qadam ne rah mein kante bichhae hain bataen to wo ghar ghairon ke jaenge kahan ho kar khuda se sar-kashi ki pir-e-zahid is qadar tu ne ki tera tir sa qad ho gaya hai ab kaman ho kar koi puchhe ki mayyat ka bhi tum kuchh sath dete ho ye aae marsiya le kar wo aae nauha-khwan ho kar irada pir-e-zahid se hai ab turki-ba-turki ka kisi bhatti pe ja baithunga main pir-e-mughan ho kar talash-e-yar kya aur sair kya ai ham-nashin hum to chale aur ghar chale aae yahan ho kar wahan ho kar 'sukhan' ki bazm mein 'nadir' usi ke sar pe sehra hai raha jo ham-nawa-e-bulbul-e-hindostan ho kar