kun-fayakun ka hasil yani mitti aag hawa aur pani pal mein baqa ka pal mein fani mitti aag hawa aur pani nagri nagri phirti hain ye diwaren bhi sath hi mere karte hain meri nigrani mitti aag hawa aur pani khak-basar hun shola-ba-jaan hun aah-kunan hun ashk-fishan hun dekh tu apni karistani mitti aag hawa aur pani mera kya hai mar jaunga chaaron or bikhar jaunga aap kahan jaenge jaani mitti aag hawa aur pani main kabhi shoala hun kabhi shabnam gahe zakhm to gahe marham karte hain mujh mein khincha-tani mitti aag hawa aur pani main aaina dekh raha hun lekin ye kya dekh raha hai mera aks pas-e-hairani mitti aag hawa aur pani ishq ki nisbat se hain zinda sahra suraj baadal dariya ishq nahin to sab be-mani mitti aag hawa aur pani