kunj-e-tanhai basae hijr ki lazzat mein hun

By shafiq-saleemiNovember 18, 2020
kunj-e-tanhai basae hijr ki lazzat mein hun
sab se daman jhad kar bas ek teri chahat mein hun
kaun sa sauda hai sar mein kis ke qabu mein hai dil
har qadam sahraon mein hai har ghadi wahshat mein hun


main anaon ka tha parwarda to phir dast-e-sawal
kis tarah phaila kisi ke samne hairat mein hun
ye bhi kya bechaargi hai kaghzi shadabiyan
apne chehre par sajae hajla-e-ghairat mein hun


ek khwahish ke hazaron rang umr-e-mukhtasar
kuchh bhi kar pata nahin main is qadar ujlat mein hun
ai mere ghar! ab to mujh ko khinch le apni taraf
aur kitni der main is arsa-e-hijrat mein hun


55787 viewsghazalEnglish