kuza-e-duniya hai apne chaak se bichhDa hua

By jamal-ehsaniNovember 2, 2020
kuza-e-duniya hai apne chaak se bichhda hua
aur us ke bich main aflak se bichhda hua
us jagah main bhi bhatakta phir raha hun aaj tak
jis jagah tha rasta pechaak se bichhda hua


din guzarte ja rahe hain aur hujum-e-khush-guman
muntazir baitha hai aab o khak se bichhda hua
subh-dam dekha to khushki par tadapta tha bahut
ek manzar dida-e-namnak se bichhda hua


is jahan-e-khasta se koi tawaqqo hai abas
ye badan hai ruh ki poshak se bichhda hua
jab bhi taula be-niyazi ki taraazu mein use
wo bhi nikla zabt ke idrak se bichhda hua


ek sitara mujh se mil kar ro pada tha kal 'jamal'
wo falak se aur main tha khak se bichhda hua
29787 viewsghazalEnglish