kya ajab fart-e-khushi se hai jo giryan aadmi kasrat-e-gham mein nazar aata hai khandan aadmi qatra-e-be-maya lekin bahr-e-na-paida-kanar zarra-e-nachiz wusat mein bayaban aadmi pur-sukun haalat mein khamosh sahil ki tarah shorish-e-jazbaat mein manind-e-tufan aadmi is ki wahshat ka mudawa kar nahin sakta koi khud agar chahe to ban sakta hai insan aadmi aadamiyat agle waqton mein thi ek anmol shai aaj ke haalat mein hai jins-e-arzan aadmi zindagi ki sakht rahon ka safar darpesh hai karwan-dar-karwan hai pa-ba-jaulan aadmi apne zakhmon ka mudawa ghair mumkin to nahin ai 'hazin' sare dukhon ka khud hai darman aadmi